BismillAllah ir rahman ir raheem.

Kalaams
-----------------------------

BismillAllah ir rahman ir raheem .

Salaam Moulana Hussain Ibnay Ali(SA)
==================================

Deen e Islam ke baqha ka vasela haay shadaath e shabbir
Ess falsafaay hayaat ko momeen tu apnay senaay saay laga laay
---------------
Azadare-e-shabbir haay mumeneen kaay dil ka sahara
Shabbir kaay matam saay tu ,Aqa Moula ke dua laay
---------------
Aza-e-Shabbir paar ankh saay nekla ansu ,hay jannat ke zamanaat
Yey Rasul-e-Khuda ka haay ershaad tu aqal maay bethalaay
-----------------------
Mumeneen koo melte haay rahaat ess aza kaay sabaab
Aza e shabbir ke barkaat saay tu rah e janaat pa laay.
--------------------
Ruun maay senay par sena qhaa kar Aliakbar nay sada dee
Moula madad ko awoo aur ess musebaat saay bachalaay
-----------------------------------
Mooth ke ghadi Aliakbar say puchaa Shabbir nay ek sawal
Kaha Aliakbar naay Panjaitan ka dedaar hoh raha haay muqadar leyay
-----------------------------------------------
Bazu katayey Abbas neher par geray Sakina ka mashkeza laykar
Shabbir ke kamar ruun maay qaam huwee ,ayh zameen e karbala dekhalay
--------------------------
Gertay huway ghoday saay dulha Abdulallah naay Moula ko sada dee
Sakina paar kya guzree hoge ,Yaum e Ashura tu bata leey
---------------------------
Shabbir kaay hatoo maay haay nanhe mujahid ka lasha
Beychain hay madar e Asger ,Moula chehra to dekhalaay
---------------------------
Asar-e-Ashur Karbala maay Shabbir ka Sajda haay Qayamaat ka manzar
Ess Sajda-e-Shabbir ke barkaat koo Rasheed Aqa Moula saay melalaay.

Mamluk-e-Syedna(TUS)
M.Hassan Mu.Shabbar Hussain Rasheed.
Hyderabad.

==============================

Madeh in Shan of Ale Qadar Syedi Mufaddal BhaiSaheb Saifuddin Saheb(TUS)
=======================================================

Mubaraak hoh naas e jalee ,ale qadar koh !!!
Yey rutba mela Burhanuddin saay noor e nazar koh !!!!
Mubaraak hoh moula koo mansus e dawat !!!!
Khuda rakhay shadmaan ale ghohar koo !!!
Rahe Emam e Zaman kay nazrath paihaam !!!
AqaMoula ke dua rahay ale qadar koh!!!!
Rasheed dono moula ke rahmaat ka hay talib!!!
Mubaraka hoh Milad AqaMoula kay pisar koh!!!
Mamluk-e-Syedna(TUS)
M.Hassan Mu.Shabbar Hussain Rasheed.
Hyderabad.

Request for Dua in LailaturQadar to us ,
Mu.Hassan Rasheed and Family.
=============================
**
===============

THE HOLY QURAN SURAS MEANINGS THE HOLY SAYINGS OF MOULANA ALI(SA) NOHAS        
JUDGEMENTS BY AMERUL MUMENEEN(SA) HOLY SAYINGS OF MOULANA ALI(SA) 'S POINTS SHARING FOR 110 MEMBERS ARCHIEVES LESSONS TO BE LEARNED FROM MOULANA ALI(SA)'S LIFE MUBARAAK        
SERMONS OF MOULANA ALI(SA) MIRACLE OF HOLY QURAN AND ARTICLE RELATED TO QURANSHAREEF. LETTERS BY AMERUL MUMENEEN MOULANA ALI IBNAY MOULANA ABITALIB(SA) .        
MADEHS MANQAYBAATS ESSAYS ARTICLES POETRIES RUBAYEE  
MY FAMILY AND WATAAN SHAYEREE IN DEEN KALAAMS KNOWLEDGE WORKS ALIWALE CREATIONS ARTWORKS DETAILS WEBMASTER  

APPRECIATIONS AND SUGGESTIONS FOR SITE and Khidmaats as Khusi Shukarguzari- Sharings.

GUEST BOOK

MAINPAGE